|
Zulm-o-sittam ka Aftab
Nifs-ur-Nihar par
Dhaltai sai mai sisaktai wajood
Zakmau mai jaltai badan ka marham kaha sai laoo
Wahshat zada bagulo kai darmayan
Shauqa-i-rah paimai hai
Magar Tmanai-e-Aabla pai kaha sai laoo
Jis kee Yaqooti hontai ke tarash kai afsanai mashoor thai
Jis kee ghainari palko kee chaoo mai sham uttarti thee
Aur dahaktai ruksaar
Ussi hontau par phailtai Neelgoo sai
Hasratau kee zardi
zakhm zakhm dil,laho lahoo badan
Pakirana-i-iffat kai chaaru par tammancho kee mauhrai sabat hai
Aur halqa hai zanjeer liyai
Farzandanai-saltanat
Awara qahqahau mai ghiri baibaas wajood
Jis kai damaan kai ahtai paani si farishtai wazoo karai
Ya Khuda !
Koi Soora-i-Qiyaamat mil jai
Jis kee Sada-i-Raa'd sai
Bikhar jai sub dura hai ta'zeer
Is jigar paash lamhau kai darmayan
mai kitni bar toota !
mai kitni bar bikhra !
KM of Mannapur
|