Aug 18th, 2008, 11:53 PM
|
#1 (permalink)
|
|
koN dil'aaN dee'yaN janaY
Join Date: Sep 19, 2002 - 4:10 pm
Posts: 10,981
|
nahi hai aa'htooN maiN gar tumharay naam ki aa'hat
tu phir kis kaam ki ahaht tu phir kis kaam ki aa'hat
hamesha raat hotey he hamaray dil ki gali'ooN maiN
musalsil hoti rahti hai tum'haray naam ki aa'hat
dinoo pe band haiN yaa'roo hamaray dil k darwazay
hamaray dil pe bajti hai hamesha shaam ki aa'hat
na'janay rooh pe ya chahal qadmi koN karta hai
chura laa'eya na'janay koN teri shaam ki aa'hat
hamara dard ik diN shahar ki sarkooN pe goonjay gha
jaga'ey ghi zamany ko dil-e-badnaam ki aa'hat
tera he zulm tuj ko waqat se bata'ey gha
suna'ee day muj ko b teray anjaam ki aa'hat
|
~BadlooN peR baseRa~
/)/)..(\(\
( ._.).(._. ) o(_(')(')..(')(')_)o
|
|
|