Aashiyaanay Ki Baat Kartay Ho
Dil Jalaanay Ki Baat Kartay Ho
Saari Dunya K Ranj-O-Gham Day Kar
Muskuraanay Ki Baat Karte Ho
Humko Apni Khabar Nahi Yaaro
Tum Zamaanay Ki Baat Kartay Ho
Zikr Mera Suna To Chirr K Kaha
Kis Deewaanay Ki Baat Kartay Ho???
Hadsa Tha Guzar Gaya Hoga
Kis k Jaanay Ki Baat Kartay Ho