jo chal sako to koi aesi chaal chal jana
mujhe gumaan bhi na ho aur tum badal jana
ye sholagi ho badan ki toh kya kiya jaaye
so laazmi tha tere pairhan ka jal jana
tumhi karo koi darmaan -ye waqt aa pahuncha
ke ab to charagaron ko bhi haath mal jana
abhi abhi toh judai ki shaam aai thi
hamein ajeeb laga zindagi ka dhal jana
ye kya ke tu bhi issi sahat-e-zawaal mei hei
ke jiss trah se sabhi soorajon ko dhal jana
har ek ishq ke baad aur uske ishq ke baad
'Faraz' itna bhi asan na tha sambhal jana