Asalam u Alaikum !
Tark-e-muhabbat par bhii hogii un ko nidaamat ham se ziyaadaa
Kis ne kii hai kaun karegaa un se muhabbat ham se ziyaadaa
Ham ne maanaa aap mein hogii sabr kii taaqat ham se ziyaadaa
Dekhiye lekin utarii hui hai aap kii suurat ham se ziyaadaa
Uff vo tabassum halkaa halkaa haaye vo bhiigii bhiigii palakein
Waqt-e-ruKhsat un pe giraan thaa lamahaa-e-ruKhsat ham se ziyaadaa
Koi tamannaa koi masarrat dil ke qariib aane hii na dii
Kis ne kii hai ishq mein yaaron Gham se muhabbat ham se ziyaadaa
bEiNG lonEly !!! sID !!!