|
Kaha tha na! ke
yun soutay hooway
mat chor k jaana
Mujhay be-shak jaga daina
bata daina
Tumhain rasta badalna hai
Meri hudd se nikalna hai
Tumhain kis baat ka darr tha?
Tumhain jaanay nahi daitay ??
Kahin parr qaid kar laitay ??
Arry pagal! muhabat ki tabiyat mein
zabardasti nahin hothi..
Jissay rasta badalna ho,
usay rasta badalne se...
Jissay hudd se nikalna ho
Usay hudd se nikalne se..
Na koi rok paya hai
Na koi rok paaey ga
Tuhmein kis baat ka darr tha ??
Millay woh Dill mujhay jo pyaar ke qabil ho, Meray qabil ho... :wub: Jissay dhoonda hai nazron ne wohi masoom sa dill ho :wub:
|