Yaksoee
Ehad e Gumgashta Ki Tasweer Dikhatee Kyun Ho?
Aik Awara e Manzil Ko Satatee Kyun Ho...........?
Wo Haseen Ehad Jo Sharminda e Ayfa Na Hua.
Us Haseen Ehad ka Mafhoom Jatatee Kyun Ho?
Zindagi Shula e Bebaak Bana Lo Apni.............
Khud ko khakstar e Khamosh Banati Kyun Ho?
Mea Tasawaf Ke Marahil Ka Nahi Hon qayail...
Meri Tasweer Peh Tum Phool Charhati Kyun Ho?
Kon Kehta Hai Keh Aahain Hain Masaaib Ka Ilaaj..
Jan ko Apni Abas Rog Lagati Kyun Ho..............?
Aik Sarkash Se Mohabat Ki Tamana Rakh Kar..
Khud Ko Aaeen Keh Phandon Mea Phansati Kyun Ho?
Mea Samajta Hon Taqasdas Ko Tamadan Ka Faraib.
Tum Rasomaat Ko Emaan Banati Kyun Ho.......?
Jab Tumhain Mujh Se Ziada Hai Zamanay Ka Khayal.
Phir Meri Yaad Mea Yun Ashk Bahati Kyun Ho......?
Tum Mea Himat Hai Tu Dunya Se Baghawat Kar Lo
Warna Maa Baap Jahan Kehtay Hain Shahdi Kar Lo.