|
meine to phool samajh ke wo khat patthar ke saath fainka tha
Mujhe kya maloom uske nishane pe tera baap baitha tha
jab maine kaha, Upar wale tera sahara hai
Tumne kyon samjha, ki mujhe aashiq ke baap ne maara hai
Teri gali se mere aashiq, mein gujarta zaroor
Par tere baap ke katkhane kutte se, dil darta hai huzoor
Itni jaldi aap, chand taron ki farmaish sunane lage
Apni jeb ka haal dekh ke, hum to gush khane lage
jab bhi mujhe Taj Mahal banvane ka khayal aata hai
sangemarmar ka rate sun ke kaleja munh ko aata hai
Tu kahe to bhar doonga tere baap ka hukka
Par us se kah do bewazah na chalaye thappar, laat aur mukka
Tu husn ki daawat hai, kabhi to meri nazar ko bhaanp
Tu khazana hai aur tera baap kundli wala saanp
|