Woh firaaq aur woh wisaal kahan
Woh shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaan
Fursat-e-kaarobaar-e-shauq kisse
Zauq-e-nazaraa-e-jamaal kahan
Dil tho dil woh dimaagh bhi na raha
Shor-e-sauda-e-khat-o-khaal kahan
Thi woh ik shakhs ke tasavvur se
Ab woh raanaai-e-khayal kahan
Aisa asaan nahin lahoo rona
Dil mein taaqat, jigar mein haal kahan

--------------------------------
Daanie
|