Love ain't real, its all circumstance
Jab Teri Dhun mein Jiya kartay thay
Posted Oct 15th, 2009 at 07:49 PM by aaho
Jab Teri Dhun mein Jiya kartay thay
Hum bhi chup chap phira kartay thay
Ankh mein pyas hua karti thi
Dil mein tofan utha kartay thay
Log atay thay gazal sunnay ko
Hum teri baat kiya kartay thay
Such Samajhtay thay teray wadon ko
Raat din ghar mein raha kartay thay
Kisi weeranay mein tujh say mil kar
Dil mein kiya phool khila kartay thay
Ghar ki deewar sajanay kay liyay
Hum tera naam likha kartay thay
Wow bhi kiya din thay bhula kar tujh ko
Hum tujhey Yaad kya kartay thay
Jab teray dard mein Dil dukhta tha
Hum teray haq men Dua kartay thay
Apnay jazbon ki kamandon say tujhey
Hum bhi taskheer kya kartay thay
Cherta tha Gam-e-Dunya jab bhi
Hum teray Gam say gila kartay thay
Kal tujhay dekh ke Yaad aya hai
Hum sukhan war bhi hua kartay thay !
Hum bhi chup chap phira kartay thay
Ankh mein pyas hua karti thi
Dil mein tofan utha kartay thay
Log atay thay gazal sunnay ko
Hum teri baat kiya kartay thay
Such Samajhtay thay teray wadon ko
Raat din ghar mein raha kartay thay
Kisi weeranay mein tujh say mil kar
Dil mein kiya phool khila kartay thay
Ghar ki deewar sajanay kay liyay
Hum tera naam likha kartay thay
Wow bhi kiya din thay bhula kar tujh ko
Hum tujhey Yaad kya kartay thay
Jab teray dard mein Dil dukhta tha
Hum teray haq men Dua kartay thay
Apnay jazbon ki kamandon say tujhey
Hum bhi taskheer kya kartay thay
Cherta tha Gam-e-Dunya jab bhi
Hum teray Gam say gila kartay thay
Kal tujhay dekh ke Yaad aya hai
Hum sukhan war bhi hua kartay thay !
Total Comments 0





gupshup
unplugged
society
services










