TIRED.............
Posted Oct 31st, 2007 at 01:27 PM by deadsoul
m so tired, wanna sleep for a year but i cant, not for an hour
sirf ankh band karna he to sona nahi hota
donno aisa q hota hai
koi mera brain wash karday
aik aur nazm aur song
dil behlanay ko ghalib yeh kaam acha hai
(ghalib say maazrat k saath)
---------------------------------------
tumharay hijr ki shamain
bari pur kaif hain jana
in shamon main ab yeh dil
kabhi tanha nahi hota
tumhari yaad k jugno
issay ab shaad rakhtay hain
tumharay lams kay mausum
yahan din raat rehtay hain
tumharay hath ki khushbo
abhi bhi raqs karti hai
meray veeran hathon par
woh sham bhi aksar ati hai
jab rukhsat mangi thi tumnay
woh geet jo tum ko azbar thay
ab merey lab pay rehtay hain
Tum ko aisa lagta hai kia?
hijr zada dil hasta hai kia?
jhotay bahanay jhotay daway
jhooti batain likhta hon
such to yeh jan e jana
bikhray moti sapno k main
aj bhi baitha chunta hon
tumhari yaad k jugnoo
mujhay bay had rulatay hain
tumharay lams k mausum
mujhay shab bhar jagatay hain
woh shaam to ati hai lekin
ab mujh pay hasti rehti hai
aur geet tumharay gaa kar woh
bass mujh ko dasti rehti hai
baykal din aur tanha ratain
dil pay naqsh hain sari batain
lekin jana ghum na karna
ankhain apni num na karna
MAIN PHIR BHI ABAAD BUHAT HON
HIJR MAIN TEREY SHAAD BUHAT HON
(deadsoul)
sirf ankh band karna he to sona nahi hota
donno aisa q hota hai

koi mera brain wash karday

aik aur nazm aur song
dil behlanay ko ghalib yeh kaam acha hai
(ghalib say maazrat k saath)
---------------------------------------
tumharay hijr ki shamain
bari pur kaif hain jana
in shamon main ab yeh dil
kabhi tanha nahi hota
tumhari yaad k jugno
issay ab shaad rakhtay hain
tumharay lams kay mausum
yahan din raat rehtay hain
tumharay hath ki khushbo
abhi bhi raqs karti hai
meray veeran hathon par
woh sham bhi aksar ati hai
jab rukhsat mangi thi tumnay
woh geet jo tum ko azbar thay
ab merey lab pay rehtay hain
Tum ko aisa lagta hai kia?
hijr zada dil hasta hai kia?
jhotay bahanay jhotay daway
jhooti batain likhta hon
such to yeh jan e jana
bikhray moti sapno k main
aj bhi baitha chunta hon
tumhari yaad k jugnoo
mujhay bay had rulatay hain
tumharay lams k mausum
mujhay shab bhar jagatay hain
woh shaam to ati hai lekin
ab mujh pay hasti rehti hai
aur geet tumharay gaa kar woh
bass mujh ko dasti rehti hai
baykal din aur tanha ratain
dil pay naqsh hain sari batain
lekin jana ghum na karna
ankhain apni num na karna
MAIN PHIR BHI ABAAD BUHAT HON
HIJR MAIN TEREY SHAAD BUHAT HON
(deadsoul)
Total Comments 4
Comments
-
Posted Oct 31st, 2007 at 05:45 PM by bheegiyaad
-
Posted Oct 31st, 2007 at 05:54 PM by IS
-
Posted Nov 1st, 2007 at 05:18 AM by deadsoul
-
Posted Nov 30th, 2007 at 04:16 PM by SunnyBoy









gupshup
unplugged
society
services










