Aakhir hum sub kis izteraab ka shikaar hain. aisi kaun si cheez hai jiski humein talash hai. aaisa lagta hai keh insaan keh andur eik khala hai jisay bharnay keh liyeh ya to insaan sharaab aur nashay ki sahara lekur apnay aap ko madhoosh kur leta hai ya phir apnay aap ko khwahishon keh jungle mein gher leta hai. Chotay baray sub hi isi kashma kash ka shikaar hai. Kisi ki nai khilonay ki khwahish hai, kisi ko apnay ishq-e-migaazi ki takmeel ki aur kisi ko dhun dolat ki. In khwaahishat ki fehrist...