Izteraab
Posted Oct 30th, 2007 at 04:31 PM by Frozen~Oxygen
Aakhir hum sub kis izteraab ka shikaar hain. aisi kaun si cheez hai jiski humein talash hai. aaisa lagta hai keh insaan keh andur eik khala hai jisay bharnay keh liyeh ya to insaan sharaab aur nashay ki sahara lekur apnay aap ko madhoosh kur leta hai ya phir apnay aap ko khwahishon keh jungle mein gher leta hai. Chotay baray sub hi isi kashma kash ka shikaar hai. Kisi ki nai khilonay ki khwahish hai, kisi ko apnay ishq-e-migaazi ki takmeel ki aur kisi ko dhun dolat ki. In khwaahishat ki fehrist itni taveel hai keh agar hum roz-e-hushr tuk bhi zinda rahay to shayed issay mukamal na kur paayein. Aakhir kion hum apni khwaahishat ki pairvi kartay kartay apni zindagi gawa detey hain. Aaisi kya baat hai keh eik khwahish ki takmeel sey pehlay hi hamaray andur eik nai khwahish raida hoti hai.
Shayes is ka taaluq hamari rooh sey hai. Is duniya mein hamaray jismaani a'azaa to kaam kartay hain lekin hamari rooh sakin hai. Woh hamaray jism ki is qaid sey azaad hokur apnay Khaalik sey jaa milna chahti hai. To kya phir insaan ka hatmi sukoon maut hai. Kya yeh azaadi maut sey pehlay naheen mil sakti. Yeh sawal to buhut mushkil hai lekin iska jawab buhut asaan. Is izteraab sey chutkaaray ka eik hi waseela hai or woh hai Rab ki zaat-e-kareema. Aur shayed yehi wagha hai keh insaan aadhi raat ko neend sey baidaar ho kur zameen boss ho jaata hai....
Imran

Total Comments 2

......khushee daynay wali ya ranj daynay wali....
gupshup
unplugged
society
services