.
   
register for an account    --    


Go Back   GupShup Forums > Blogs


Old

tere anay se . . .

Posted Oct 16th, 2009 at 01:19 AM by Jaan Lewaa

tere anay se meri zindagi aasaan ho gyi
anjaan tha mai, ab mujhe apni phechaan ho gyi

phele tou khabar nahi thi mujhe apne safar ki
tere saath chalnay se ab meri manzil asaan ho gyi

phele tou kismat naraz hi raha karti mujh se
ab tou jaise har naimat mujh pe meharbaan ho gyi

mai humesha apni dhun mai apne aap k liye hi jiya
mujhe pata bhi na chala aur meri zindagi tere naam ho gyi

phele dusron ki farmayishain
...
....Mai Pagal....
....Mera Dil Dewana....
Posted in Uncategorized
Views 16 Comments 0 Jaan Lewaa is offline
Old

kis ada ne dewana banaya hai?

Posted Jul 6th, 2009 at 04:32 PM by Jaan Lewaa

aankh uss ki sharabi
ya labb uss k gulabi?
mathay pe latki zulf
ya kaan mai latki baali?

uss k haath ka kangna
ya ungli mai pehna challa?
ungliyon mai dupatay ko ghoomana
ya dupatay ko daanton mai chabana?

uss ka apni baatoN se ghabrana
ya meri baatoN mai ulajh jana?
nazrain chura kar uss ka sharmana
ya daanton mai honton ko chabana?

uss k woh saday se khawab
ya uss k nakhrailay adaab?
...
....Mai Pagal....
....Mera Dil Dewana....
Posted in Uncategorized
Views 90 Comments 2 Jaan Lewaa is offline
Old

ishq

Posted Apr 12th, 2009 at 10:51 PM by Jaan Lewaa

ain ishq k harf teen yaaro, teeno hi ye baat samjhaye
khula moonh ain ka qabar jaisa, jeeti jaan ashiq ki khaye
danday sheen k aari samjho, nuktay ooper se bojh dabaye
gehray qaaf mai jo phas jaye, woh kabhi bahir na nikal payye
....Mai Pagal....
....Mera Dil Dewana....
Posted in Uncategorized
Views 91 Comments 1 Jaan Lewaa is offline
Old

na shukar insan

Posted Apr 6th, 2009 at 11:01 PM by Jaan Lewaa

sochta hoon eh khuda teri kia phechan hai?
ALLAH, khuda, rab...tere aur bhut naam hain
tere chahnay walay bhut, tere maan-nay walay bhut
ashiq hain woh jin k dilon mai sacha imaan hai

hum phunchay aasmano, chand aur sitaron pe
par sab se bara tu, sab se oonchi teri shaan hai
kartay hain hum gustakhiyan subh o shaam
lakin tu bhut raheem, tu bara meharbaan hai

hai meri justajoo k kisi roz mai dekhoon tujhe
na hai teri koi
...
....Mai Pagal....
....Mera Dil Dewana....
Posted in Uncategorized
Views 119 Comments 3 Jaan Lewaa is offline
Old

tu hai ek khawab ki tarha,

Posted Jan 15th, 2008 at 09:24 AM by Jaan Lewaa

tu hai ek khawab ki tarha,
pyaas ki tarha, aas ki tarha,
gehri jheel ki tarha,
uss mai raks kartay chaand ki tarha,

tu hai ek daastan ki tarha,
ek band kitab ki tarha,
ehsaas ki tarha,
umeed ki tarha,
yakeen ki tarha,

tu hai asmaaN ki tarha,
uss mai khoye chaand ki tarha,
lehrati lehroN ki tarha,
jhoomti hawaooN ki tarha,
mast nighaoN ki tarha,
nashay k jaam ki tarha,
dikhnay...
....Mai Pagal....
....Mera Dil Dewana....
Posted in Uncategorized
Views 268 Comments 2 Jaan Lewaa is offline
Old

mere haton mai tere hath hona

Posted Oct 21st, 2007 at 09:58 PM by Jaan Lewaa
Updated Oct 21st, 2007 at 10:10 PM by Jaan Lewaa

mere haton mai tere hath hona
woh chaudveen ki raat hona
khamoshi mai guftagu karna
woh tera sharma jana
sharma k woh tera muskara jana
dil ki baat lab se na keh pana
kuch kehtay kehtay reh jana
kuch keh kar ghabra jana
meri bahon mai tera aA jana
meri sansoN mai tera sama jana
meri be-tuki baat pe tera ruth jana
mere mananay se tera maan jana
sar rakh kar kandhay pe tera so jana
aur mera teri zulfon mai kho
...
....Mai Pagal....
....Mera Dil Dewana....
Posted in Uncategorized
Views 277 Comments 6 Jaan Lewaa is offline
Old

. . . . teri yaad ayi

Posted Oct 16th, 2007 at 11:45 PM by Jaan Lewaa

Aaj mossam mai phir se bahar ayi tou teri yaad ayi
beetay khawab-o-khayal ka socha tou teri yaad ayi

yoonh tou ab gham hi reh gye hain mere hum safar
aaj jab khushi rah mai mujhse takrayi tou teri yaad ayi

woh baarish mai jo bheeg jaateen theen teri zulfain
aaj shaam jab badal garjay tou unn ki yaad ayi

teri muskaan mai meri zindagi ki khushyian theen
aaj jab zindagi mujh pe muskarayi tou teri yaad ayi

tere
...
....Mai Pagal....
....Mera Dil Dewana....
Posted in Uncategorized
Views 147 Comments 0 Jaan Lewaa is offline
Old

Suhail unnhay hargiz bewafa na kaho

Posted Sep 28th, 2007 at 11:03 PM by Jaan Lewaa

pyar kar k aap se kabhi hum uss ka izhar hi na kar paye
karay tou kaise? meri mohabbat jo samaye aisay kabhi alfaz hi na mil paye

hum gunhagaar aap k har sawal ka jawab liye baithay thay
lakin aap hum se kabhi koi sawal hi na karnay aye

jalaya tou humne bhi tha apni umeedon ka diya
lakin ussay hum toofanoN k anay tak hi na bacha paye

meri har saans, har dharkan mai sirf aap hi aap hain
tou phir kaise meri har ghazal mai aap
...
....Mai Pagal....
....Mera Dil Dewana....
Posted in Uncategorized
Views 202 Comments 5 Jaan Lewaa is offline
Old

kaantoN par bhi chal kar tum laboN se muskura lo

Posted Jul 20th, 2006 at 01:20 AM by Jaan Lewaa

jo lafzon mai na keh sako, ussay dil mai hi chupa lo
khushi auro mai banto aur ghum ko seenay se laga lo

saqi na jaya karo tum har shaam mehkaiday mai
zindagi suroor mai guzarni hai tou dou ghoont pyaar k laga lo

zindagi chaar din ki aur pyaar chaar harfo ka hai
inn chaar harfo ko chaar din k har pal mai tum basa lo

Suhail itna hi sirf seekha hoon maine iss duniya se
kaantoN par bhi chal kar tum laboN se muskura lo
....Mai Pagal....
....Mera Dil Dewana....
Posted in Uncategorized
Views 99 Comments 3 Jaan Lewaa is offline
Old

jo beh jaye woh ansoon jo reh jaye woh hai dard

Posted Mar 13th, 2006 at 03:29 PM by Jaan Lewaa

jo beh jaye woh ansoon jo reh jaye woh hai dard
zindagi maut bangyi, kia iss duniya mai tha ek hi fard

ab ankhen huhi hain nam, lehja hai haklaya sa
khushi bichar gyi mujh se jab se raha na woh shaks

na tha gham koi, na tha dar jab saath tha woh mere
uss k janay k baad ab tou dara deta hai mera hi aks

gya hai woh jab se durr, yeh zindagi tham si gyi hai
jo sansein hain baki, woh uss k saath guzray waqt ka hai qarz
...
....Mai Pagal....
....Mera Dil Dewana....
Posted in Uncategorized
Views 127 Comments 1 Jaan Lewaa is offline
Old

ek baar phir se zindagi mujh se jeetnay wali hai

Posted Dec 5th, 2005 at 01:28 AM by Jaan Lewaa

ek baar phir se zindagi mujh se jeetnay wali hai
mujhay maat de kar khood agay baharnay wali hai

na mai kuch kar raha hoon aur aisa lagta hai
mere kuch karnay se na kuch honay wala hai

meri kismat tou hai hi ek kalay daagh ki tarah
lakin uss ki kismat ka sitara sunehra honay wala hai

duniya ko mainay apna nahi mana kabhi, lakin chaha ussay
jo duniya se bhar kar hai, aur ab uss ka inteqaam honay wala hai

zindagi...
....Mai Pagal....
....Mera Dil Dewana....
Posted in Uncategorized
Views 84 Comments 3 Jaan Lewaa is offline
Old

tumharay na honay ya honay se....

Posted Nov 20th, 2005 at 11:06 PM by Jaan Lewaa

tumharay na honay se kuch nahi badla
yeh suraj bhi wahi se nikalta hai
asman par taray bhi nikaltay hai
aur chaand ki chadni bhi hoti hai
hawaye bhi chalti hai
pair(tree) par patay bhi hai
dariya bhi bhetay hai
phool bhi khiltay hai
phoolo mai khushbu bhi hai

lakin na janay kyun???
tumharay na honay ki wajah se
har cheez adhoori si lagti hai
har subha, shaam si lagti hai
har muskan, udaas si lagti...
....Mai Pagal....
....Mera Dil Dewana....
Posted in Uncategorized
Views 92 Comments 2 Jaan Lewaa is offline
Old

...dost

Posted Nov 14th, 2005 at 02:42 PM by Jaan Lewaa

dost kehnay ko ek lafz hai
likhnay may char harf hain
(daal, wao, seen, tay)
Dukh mai jo humesha saath ho
Woh jo apno ka ehsaas day
Sukh mai woh tumhay yaad ho
Taluq na rakh kar bhi jo saath day
badlay mai jo kuch na mangay
jo ehsaan kar k na jaataye
jo tumhay humesha palko pe bithaye
tumhari har cheez ka apnaye
ho aisa k durr reh kar bhi
woh na tum se durr ho
bhool jao agar kabhi tum kuch
tou ussay...
....Mai Pagal....
....Mera Dil Dewana....
Posted in Uncategorized
Views 72 Comments 0 Jaan Lewaa is offline
Old

.....meri tarah

Posted Nov 11th, 2005 at 12:12 PM by Jaan Lewaa

majnu, ranjha, farhad hai meri taraha
sooraj mai aag hai meri taraha
andehri raat hai meri taraha
mehfil mai tanhayi hai meri taraha
tootay huhay khawab hai meri taraha
samandar ko pyaas hai meri taraha

- Suhail
....Mai Pagal....
....Mera Dil Dewana....
Posted in Uncategorized
Views 60 Comments 0 Jaan Lewaa is offline
Old

....tumhari tarah

Posted Nov 11th, 2005 at 12:11 PM by Jaan Lewaa

phoolo mai rung hai tumhari taraha
phoolo mai khusbu hai tumhari taraha
sitaro mai chamak hai tumhari taraha
chaand ki chandni hai tumhari taraha
suraj ki pheli kiran hai tumhari taraha
subha ka khawab hai tumhari tarha

- Suhail
....Mai Pagal....
....Mera Dil Dewana....
Posted in Uncategorized
Views 59 Comments 0 Jaan Lewaa is offline

All times are GMT -5. The time now is 04:09 PM.

 
» quickie
gupshup
cafetravjok arcbaz
unplugged
all img 1 2 3
khl 1 2vidvoice
audshor 1 2
society
pamsiwa p&sr&sc&a bep&e
arts & cul
cl&lpoet 1 2
rkslife 2 3 4 5 (par)
ha&ccs&n c&itauto
features
blogsgames
gs google button
a/v chat all albums
services
supportfeed
gs newsmodrf

» regional
pakistan isb khi lhe mfg
pakistan pew lyp mux uet
united states nyc chi iah lax
india bom del bng
holland / the netherlands ams rtm zyh
saudi arabia ruh jed
england lhr
canada yyz
united arab emirates dxb
other cites of the world all other




gs radio




Powered by vBulletin - Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.
Content Relevant URLs by vBSEO 3.3.0