na shukar insan
Posted Apr 6th, 2009 at 11:01 PM by Jaan Lewaa
sochta hoon eh khuda teri kia phechan hai?
ALLAH, khuda, rab...tere aur bhut naam hain
tere chahnay walay bhut, tere maan-nay walay bhut
ashiq hain woh jin k dilon mai sacha imaan hai
hum phunchay aasmano, chand aur sitaron pe
par sab se bara tu, sab se oonchi teri shaan hai
kartay hain hum gustakhiyan subh o shaam
lakin tu bhut raheem, tu bara meharbaan hai
hai meri justajoo k kisi roz mai dekhoon tujhe
na hai teri koi tasveer, na kahi nishaaN hai
dhundoon tujhe tou kahan ja kar dhundoon?
neechay dekhoon tou zameen, ooper khula aasmaan hai
shuru karta hoon tere naam se mai har kaam
phir sochta hoon tere naam se mujhe kia kaam hai?
maanta hoon mai, ye sab teri di huhi naimat hai
phir kehta hoon meri mehnat hai, tera kia ehsaan hai
museebat mai kehta hoon k tera azaab hai
khushi mai bhool jata hoon k tera inaam hai
hawa, pani, roshni sab tere karamaat hain
kuch daryafut kar k kehta hoon meri aijaad hai
achay kaam karo q k zindagi ek imtehaan hai
ALLAH sab dekh kar raha hai jaha bhi koi shaitan hai
pal bhar nahi zindagi, so barso ka samaan hai
dolat par imaan mat rakh, chaar din ka mehmaan hai
uss ki nazar mai ek hai sab mazdoor ya koi kisaan hai
rehmat hai khuda ki uss ka bara ehsaan hai
bhool tou ho hi jaati hai, akhir insaan hain
baksh daita hai woh, akhir woh rehman hai
- Suhail

Total Comments 3
Comments
-
Look who's back
Posted Apr 7th, 2009 at 12:28 AM by Sajalina
-
Posted Apr 7th, 2009 at 05:37 PM by desert bird
-
khala m not back, just wanted it to save it here :-p
thx guysPosted Apr 11th, 2009 at 10:10 PM by Jaan Lewaa

gupshup
unplugged
society
services