kis ada ne dewana banaya hai?
Posted Jul 6th, 2009 at 04:32 PM by Jaan Lewaa
aankh uss ki sharabi
ya labb uss k gulabi?
mathay pe latki zulf
ya kaan mai latki baali?
uss k haath ka kangna
ya ungli mai pehna challa?
ungliyon mai dupatay ko ghoomana
ya dupatay ko daanton mai chabana?
uss ka apni baatoN se ghabrana
ya meri baatoN mai ulajh jana?
nazrain chura kar uss ka sharmana
ya daanton mai honton ko chabana?
uss k woh saday se khawab
ya uss k nakhrailay adaab?
uss ka saada pan andaaz
ya uss ka ban-na sanwarna?
uss ki nazron ne kia hai ghayal
ya uss ki addaton ne pagal banaya hai?
uss ki baatoN pe hoon mai fida
ya uss ki kisi ada ne dewana banaya hai?
- Suhail
ya labb uss k gulabi?
mathay pe latki zulf
ya kaan mai latki baali?
uss k haath ka kangna
ya ungli mai pehna challa?
ungliyon mai dupatay ko ghoomana
ya dupatay ko daanton mai chabana?
uss ka apni baatoN se ghabrana
ya meri baatoN mai ulajh jana?
nazrain chura kar uss ka sharmana
ya daanton mai honton ko chabana?
uss k woh saday se khawab
ya uss k nakhrailay adaab?
uss ka saada pan andaaz
ya uss ka ban-na sanwarna?
uss ki nazron ne kia hai ghayal
ya uss ki addaton ne pagal banaya hai?
uss ki baatoN pe hoon mai fida
ya uss ki kisi ada ne dewana banaya hai?
- Suhail
Total Comments 2
Comments
-
Posted Jul 7th, 2009 at 11:12 AM by desert bird
Updated Jul 7th, 2009 at 11:26 AM by desert bird -
thanksPosted Jul 17th, 2009 at 12:45 AM by Jaan Lewaa







gupshup
unplugged
society
services










