daagh
aarzu hai wafa kare koii
jii na chaahe to kyaa kare koi
jii na chaahe to kyaa kare koi
Gar marz ho davaa kare koii
Marne vaale ka kya kare koii
Marne vaale ka kya kare koii
Koste hain jale hue kya kya
Aane haq men dua kare koii
Aane haq men dua kare koii
Un se sab apni apni kahte hain
Mera matlab adaa kare koi
Mera matlab adaa kare koi
Tum saraapaa ho suurat-e-tasviir
Tum se phir baat kya kare koi
Tum se phir baat kya kare koi
Jis men laakhon baras ki huuren hon
Aisi jannat ko kya kare koi
Aisi jannat ko kya kare koi
Total Comments 0





gupshup
unplugged
society
services










