jalnay waloN ka mooN kaala.
Aisha Dubaiwali kay liye mohabbat-naama
Posted Mar 19th, 2009 at 02:00 PM by Samad
Aisha mere is pyar ko pyar nahi mere dil ka wo haal samjo jo aik chars peenay walay banday ka hota hai jab uskay paas paisay bhi hoN magar chars khareednay kay liye koi jagga nahi mil rahee ho...ya aisa haal kay jab banday ki beewi ghar uska suhaag raat par wait kar rahi ho, aur rastay mai gaari kay tires puncture ho jayain, aur beewi rus kar so jaye.
Aisha mai tumharay liye har wo kaam kar sakta hoon jo aaj tak kissi nay apni mehbooba kay liye nahi kia...
yakeen nahi ata to agay parho
mai tumhari khaatir ...
-colgate ki poori toothpaste kha sakta hoon
-tum jitni moti ho jayo, tumhe phir bhi mai apnay hathon say utha kar truck mai bithaya karoon, har jummay kay jummay jab ham sair par niklengay.
-tumhari khaatir shaam kay khanay mai 20kg aloo + 40kg gosh saath mai 65kg pasta ubaal kar tumhe apnay haathon say khilaya karoonga.
-tumharay liye lipstick ki baltee khareedoonga jiskay andar tum moon maro gi to tumharay ghulaabi honto par laal chamknay waali lipstick lag jaye gi.
-tumhe pyar say aishwarya raye kaha kahoonga, magar siraf tab jab ghar mai bijlee challi jaye.
-tumhe BusinezClass ki ticket lay kar PIA mai safar karyoonga, aur agar wazan ziyada ho gya to tumhe CARGO karwa doonga.
-tumhari khaatir tumharay 3G Iphone ko mai bech kar tumharay liye nakli sone kay zevar khareed kar tumharay gallay mai pehnaoonga apnay hathon say.
Agar tumhe ab bhi yakeen nahi mere pyar par to phir patayo kaise yakeen dilayoon tumhe.

Total Comments 11
Comments
-
Posted Mar 19th, 2009 at 02:13 PM by COCO
-
Posted Mar 19th, 2009 at 02:20 PM by Samad
-
Posted Mar 19th, 2009 at 02:28 PM by AnGeL EyEs
-
Posted Mar 19th, 2009 at 02:28 PM by Samad
-
Posted Mar 19th, 2009 at 03:37 PM by redroses
-
Posted Mar 19th, 2009 at 04:44 PM by K337
-
Posted Mar 19th, 2009 at 04:47 PM by Samad
-
Posted Mar 19th, 2009 at 04:48 PM by K337
-
Posted Mar 19th, 2009 at 04:56 PM by Samad
-
Posted Mar 19th, 2009 at 05:15 PM by Princess Fiona
-
Posted Mar 20th, 2009 at 08:08 AM by COCO

... btw how are u doing? 

gupshup
unplugged
society
services