walakum salam
OK janab pehle to murghi kee khareed pe aap ko dili mubarakbaad pesh he...
aur ab arz hae murghi bananay ka nihayat asan tareeka...
ghor farmayein...
thora teyl handi mein daal ke garam karein....us mein pyaaz aur pisa adrak lehsan laal karein...phir kuch tamatar, haldi, namak, garam masala, hari mirhcein daalein....bhoonein....murghi daalein [daalne se pehle achee terhan dho leyn]....bhoonein....kaafi bhunNe ke baad, daheen daalein....thora aur bhoonein....aur thori deyr mein murghi tayyar ho jayay gi...