Results 1 to 11 of 11
  1. #1
    Oblivion! Minerva's Avatar
    Join Date
    Sep 24, 2003
    Posts
    2,565
    Blogs
    72
    hello folks,

    Can you guys post your favourite Hamdia /Natia ashars and Kalam, please. Lets make it a sticky for the month of Ramzan.

  2. #2
    Senior Member
    Join Date
    May 3, 2003
    Location
    AUH, UAE
    Posts
    7,883
    Blogs
    3
    Tere ishq di daulat mil jaway duniya di daulat ki karni
    Tere dar di gadaee mil jaway kisi hor di naukri ki karni
    Ikko aarzoo mere seene wich maraan jevaan shehar Madinay wich
    Banay Madinay wich qabar meri kithay hor di turbat ki karni ...


    ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

    Koi saleeqah hai aarzoo ka na bandagi meri bandagi hai
    Yeh sab tumhara karam hai aaqa ke baat ab tak bani hui hai
    kisi ka ehsaan kioN uthaeiN, kisi ko halaat kioN bataeiN
    tumhi se mangeiN ge tum hi do ge, tumhare dar se hi lo lagi hai
    amal ki mere asaas kya hai, bajuz nidaamat ke paas kya hai
    rahe salaamat bas un ki nisbat mera to bas aasara yahi hai
    ata kiya mujh ko drd-e-ulfat, kahaN thi poor-khata ki qismat
    meiN is karam ke kahN tha qabil, hazoor ki banadh parwari hai
    tajaliyooN ke kafeel tum ho muraad-e-qalb-e-khaleel tum ho
    khuda ki roshan daleel tum ho, yeh sab tumhari hi roshani hai
    basheer kahiye, nazeer kahiye inheiN siraaj-e-muneer kahiye
    jo sar basar hai kalam-e-Rabbi, woh mere aaQa ki zindagi hai
    yahi hai Khalid aasaas-e-rehmat yahi hai Khalid bina-e-rahmat
    Nabi ka arfaan zindagi hai Nabi ka arfaan bandagi hai

    ~*~ Koi sawaal kare tau kya kahun ussay ... Bicharne wale sabab tau bata judai ka ... ~*~

  3. #3
    Senior Member
    Join Date
    May 3, 2003
    Location
    AUH, UAE
    Posts
    7,883
    Blogs
    3
    Marhaba sad Marhaba ... Phir Aamad-e-Ramzaan hai ...

    Marhaba sad marhaba phir aamad-e-ramzaan hai
    Khil uthay murjhaye dil taaza huwa emaan hai
    Hum gunhegaroon pe yeh kitna bara ehsaan hai
    Ya Khuda (Azzawajal) tu ne ata phir kar diya Ramzan hai
    Tujh pe sadqay jaon Ramzan, tu azeem-ushaan hai
    Ke Khuda (Azzawajal) ne tujh mein hi nazil kiya Quraan hai
    Abar-e-rehmat chaa gaya hai aur samaa hai noor noor
    Fazal-e-Rab (Azzawajal) se maghfirat ka hogaya samaan hai
    Har ghari rehmat bhari hai har taraf hain barkattain
    Maah-e-Ramzaan rehmatoon aur barkatoon ki kaan hai
    Aa gya Ramzaan ibaadat per kamar ab bandh lo
    Faiz le lo jald ke din tees (30) ka mehmaan hai
    Ya Illahi (Azzawajal) tu madenay mein kabhi Ramzaan dikha
    Mudatton se dil mein yeh 'Attar' ke armaan hai ...

    ~*~ Koi sawaal kare tau kya kahun ussay ... Bicharne wale sabab tau bata judai ka ... ~*~

  4. #4
    Senior Member Aryaan's Avatar
    Join Date
    Sep 5, 2004
    Posts
    5,156
    Nice.. Bohat achey!

  5. #5
    ~Aks khusbo hoon, behkarnay say na rokay koi~
    Join Date
    Oct 18, 2002
    Location
    World.
    Posts
    18,250
    ok here is my contribution .. her sher bohut khoobsorate say likha gaya hai aur jis jis na yeh naatein pahre hai unke awaz na naaton ko chaar chand laga diyaya hian .. love all these naats .. really beautifull .. MashAllah .. if there is any mistake in words plz plz plz correct it and leeme know .. its a request .. :-) ..

    if you want to listen one of the naats i'm going to post or want to listen any other naat you must check this thread by irem appi .. most of the contribution is by sherni and irem api .. really beautiful thread .. MashAllah .. ..

    http://www.gupistan.com/forums/showt...hreadid=156375



    Zahay muqadar hazor-e-haq say salam aya pyam aya
    Cohkaoon nazrein pechaoon palkein adab ka ala maqam aya

    Yeh kon sar say kafan lapatay chala hai ulfat kay rastay per
    Faristay hairta say tak rahay hain yeh kon zahay ahtram aya

    Faza mein labaik ke sadian za frsh taa’n arsh gonjte hain
    Her aik qurban ho raha hia zuban yeh kis ka naam aya ..

    Yeh rah-e-haq hai samhal kay chalna yahan hai manzil qadam qadam per
    Pohnchan dar per to kehna AqA salam lehjeyaya gulaam aya ..

    Yeh kehna AqA bohut say asihq tarptay say chor aya hoon main
    Bulaway kay muntazir hain lakin na subho aya na shaam aya

    Duaa jo nikle thee dil say akhir palat kay maqbool ho kay aye
    Who jazba jis mein tarpte her cheez who jazba akhir ko kaam aya ..

    Khuda tera haifz-o-nigeh baa’n who raahein bata ka janay walay
    Nabed say sad embasta ban kar payam-e-dar-o-slaam aya ..


    JazakAllah .. ..

  6. #6
    ~Aks khusbo hoon, behkarnay say na rokay koi~
    Join Date
    Oct 18, 2002
    Location
    World.
    Posts
    18,250

    Faslon ko taqulf hai hum say magar hum bhi be-baas nahi be-sahar nahi
    Khud unhe ko pukarein gay hum door say rasaatay mein paoon tahk jayein ga..

    Hum madinay mein tanha nikal jayein ga aur galion mein qasdan bahtak jayein ga
    Hum wahan jaa kay wapass nahi ayay ga dohntay dohntay loog tahk jayaein ga ..

    Jesay he sabz Gomband nazar aya ga bandage ka qarena badal jayaya ga
    Sar johkanay k fursat milay ge kesay khud he palkon say sajdein tapak jayein ga ..

    Na m-e-Aqa jahan bhi liya jayay ga zikar unka jahan bhi kia jayaya ga
    Noor he noor sennon mein bahr jayay ga sare mehfil mein jalway lapak jayein ga ..

    Aa madina kay zair khuda k liye dasten-e-safar mujh ko yohn na suna
    Baat bahr jyaya gee dil tarp jayay ga meray muhtatt aanso jahlk jayein ga ..

    Unke chasm-e-karm ko hai iske khabar kis musafir ko hai kitna shoq-e-safar
    Hum ko ek baal jub bhi ijazat mile hum bhi aka kay darbar tak jayay ga ..

    JazakAllah .. ..

  7. #7
    ~Aks khusbo hoon, behkarnay say na rokay koi~
    Join Date
    Oct 18, 2002
    Location
    World.
    Posts
    18,250


    na kaleem ka tasvar na khail-e-toor-e-sena ..
    mere arzo Mohammad *PBUH* mere justajo Madina ..

    Mein gada-e-Mustafa hoon mere azmatein na pohcho
    Mujhe dekh kar jahnum ko bhi aa gaya hai pasena ..

    Mujhe dushmano na charon mera hai koi jahan mein
    Mein abhi pukar loo gee nahi door hai madina ..

    Mein marez-e-Mustafa hoon mujhe cho kay kia karo ga
    Mere zindage jo chahho mujhe lay chalo madina ..

    Meray dobnay mein baqe na koi kame rahe thee
    Kaha al-madad Mohammad *PBUH* to ubher gaya safena ..

    Siway iskay meray Dil mein koi arzo nahi hai
    Mujhe mout bhi jo ayay tu ho samnay madina ..

    JazakAllah .. ..


  8. #8
    ~Aks khusbo hoon, behkarnay say na rokay koi~
    Join Date
    Oct 18, 2002
    Location
    World.
    Posts
    18,250
    Koi saliq hai arzo ka Na bandge mere bandage hai
    Yeh sub tumhara karm hai Aqa Kay baat ab tak bane hoe hai ..

    Kese ka ehssaan kion uthein Kese ko halaat kion baatein
    Tumhe say mangein gayein tumhe do gayay Tumharay dar say he loO lage hai ..

    Ata kia mujhko dard-e-ulfat Kaha thee is purkata k qismat
    Mein is karam ka kahan tha qabil Hazoor ke banda-parvare hai ..

    Shaoor-o-fiqr-o-nazar kay davay Had say unke kabhi pahr na paein
    Na choh sakya un balandion ko Jahan maqam-e-Mohamade hai ..

    Tajlion kay kafil tum ho Murad-e-kabil-e-kalil tum ho
    Khuda ke rohsan dalil tum ho Yeh sub tumhare he roshni hai ..

    Bashir kahay nazir kahiay Unhein siraj-e-muneer kahiay
    Jo sar-ba-sar hai kalaam-e-rabE who meray aqa k zindage hai ..

    amal ke meray asas kia hai bajuz nadamat k paas kia hai
    rahay salamat Tumhare nisbat mera tu ek isra yahee hai ..

    hai qaba bhi marj-e-kalaik bohut numay hai yeh haqiaq
    magar jo maqsod-e-hazre hai hazor kay dar k hazre hai ..

    yehe Hain kalid ehssaas-e-rehmat yahee hai kalid bin-e-azmat
    Nabe ka irfaan zindage hai, Nabe ka irfaan bandegae hai ..

    SubhanAllah .. .. JazakAllah ..

  9. #9
    Senior Member
    Join Date
    Oct 9, 2004
    Posts
    623
    jazakAllah u all

    tarikh agar dhondhagy sani e Muhammad
    sani to bari chees hay saya na milay ga

  10. #10
    I'm no mystery!
    just another face
    Raindance's Avatar
    Join Date
    Feb 19, 2004
    Location
    YYZ
    Posts
    13,643
    Blogs
    1
    Es thread mai sab log qabil-esatish hain mashallah
    *~*~* Thread-napper*~*~*
    Down loading, Please wait ,,,,,,,Your Thread is being shredded into bits !

  11. #11
    ~.~ Sunehra Bichoo ~.~
    Join Date
    Oct 20, 2003
    Location
    North West Heart Corner.......
    Posts
    9,340
    Blogs
    42
    Jazakallah
    (\__/)
    (τ_τ)
    JabBhi Milti Hay Mujhay.......

visitors found this page by using these recent terms: hamdia ashaar,  natia ashar,  natia poetry,  natia kalam,  hamdia kalam,  hamdia poetry,  punjabi natia kalam,  natia ashaar,  hamdia ashaar in urdu,  geo natia kalam,  oromi hamdiaa mahmmad,  http:www.paklinks.comgsintikhaab163432-hamdia-and-natia-kalam-and-ashaars.html,  natia kalam urdu,  natia ashar in urdu,  natia kalam in urdu,  natia kalam in punjabi,  natia poetry in urdu,  urdu natia qawwali,  punjabi natia kalam writen,  punjabi hamdia poetry,  urdu poetry. natia kalam,  Hamdia urdu poetry,  naatia kalam lyrics,  hamdiya ashaar,  natia kalaam