|
Zabardust....miss hayaa!
Ub yey bhi parrhaiN...
Wo log bohat khush-qismat thay
Jo ishq ko kaam samajhtay thay, ya kaam say aashqi kartay thay
Hum jeetay-jee masroof rahay, kuch ishq kiya kuch kaam kiya
Kaam ishq kay aarray aata raha, oar ishq say kaam ulajhta raha
Phir aakhir tung aa kar humnay donoN ko adhoora chorr diya.
(FAIZ SAHAB)
|