Results 1 to 18 of 83
- Jul 31st, 2007, 02:14 PM #1
Mohsin Naqvi

Renowned writer, scholar and poet, Mohsin Naqvi was one of the leading literary figures in Pakistan for the past several decades. His untimely dead at the hands of sectarian violence shocked the entire country. but he will remain between us through the essence of his poetry.
mutmaeen ho kay mujhay yaad rakhay gi dunia
jub bhi is shehar ki tareekh wafa likhay gi
*******
shamil mera dushman saf-e-yaraa'n mai rahay ga
ye teer bhi pewast rag-e-jaan mai rahay ga
ek rasm-e-janoo'n apnay muqadar mai rahay gi
ek chaaq sada apnay girebaa'n mai rhay ga
ek ashq hai ankhoo'n mai so chamkay ga kaha tak?
ye chaand zad shaam-e-gareeba'n mai rahay ga
mai tujh say bichar kar bhi kaha tujh say juda ho'n
tu khwaab saf-e-deea giryaa'n mai rahay ga
ratoo'n ki koi rut teri khushboo nahi laye
ye dagh bhi daman-e-baharaa'n mai rahay ga!
ab kay bhi guzar jaye gay sub wasal kay lamhay
masroof koi wada-ao pemaa'n mai rahay ga
woh harf-e-janoo kah na sakoon ga, jo kahoo'n bhi
ek raaz ki soorat dil imkaa'n mai rahay ga
Mohsin mai hawadis ki hawaoo'n mai ghira hoo'n
kya naqsh qadam dasht-o-bayabaa'n mai rahay ga?The heart is the only broken instrument that works.
- Jul 31st, 2007, 02:36 PM #2
very nice
something for you. umeed hai pasand aiye gi
Last edited by High-Tech; Jul 31st, 2007 at 02:47 PM.
OH ALLAH please forgive me for my sins. I can't take this heart ache any more.
- Jul 31st, 2007, 02:38 PM #3Junior Member
- Join Date
- Jul 31, 2007
- Posts
- 4
- Jul 31st, 2007, 03:12 PM #4Senior Member
- Join Date
- Jan 6, 2003
- Posts
- 14,164
Nice, thank you for sharing.
- Jul 31st, 2007, 03:22 PM #5
very nice sharing
. presentation is also very nice
- Jul 31st, 2007, 03:52 PM #6
Nice pick shabooo
zikR-e-shab-e-firaaq se vahshat use bhi thi
meri taRah kisi se muhabbat use bhi thi
mujh ko bhi shauq tha naye chehroN ki deed kaa
rastaa badal ke chalane ki aadat use bhi thi
us raat deR tak vo rahaa mahv-e-guftaguu
masruuf maiN bhi kam thaa faRaaGat use bhi thi
suntaa tha vo bhi sab se puraani kahaniyaa'N
taazaa rafaaqatooN ki zaruurat use bhi thi
mujh se bichaR ke shahar meiN ghul mil gay'aa vo shaKhs
haalaa'Nke shahar bhaR se raqabat use bhi thi
vo mujh se bhaR k zabt ka aadi tha jee gay'aa
vaRnaa haR ek saa'Ns qayaamat use bhi thi
~mujhaY kis jurm ki saza mili k meRi rooh taak hai thaki huwimaiN apni jaga se hila nahi meRi saans phiR be ukhaR gaye~
- Jul 31st, 2007, 03:55 PM #7
ret paR likh ke meRaa naam miTaayaa na karo
aaNkheiN sach bolti haiN pyaar chupayaa na kaRo
log haR baat kaa afsaana banaa lete haiN
sab ko haalaat ki rudaad sunaayaa na kaRo
ye zaruri nahiN haR shaKhs maseehaa hi ho
pyaar ke zaKhm amaanat haiN dikhaayaa na kaRo
shahar-e-ehsaas meiN pattharaa'v bahut haiN 'Mohsin'
dil ko sheeshe ke jharoNkhoN meiN sajaayaa na kaRo
~mujhaY kis jurm ki saza mili k meRi rooh taak hai thaki huwimaiN apni jaga se hila nahi meRi saans phiR be ukhaR gaye~
- Jul 31st, 2007, 04:06 PM #8
suno aisa nahi kaRtey
jisay shifaaf rakhna ho
usay maila nahi kaRtey
teRi aa'najhIn ijazat daiN
tu hum kia kia nahi kaRtey
bohat ujRay huwey ghaR peR
safaR jis ka muqadaR ho
usaay rokka nahi kaRtey
jo mil kaR khud se kho jaa'ey
usay ruswa nahi kaRtey
chalo tum raaz ho apNa
chalo tum raaz ho apna
tumhaiN afshaa'n nahi
ye unchay pair kaisay haiN
kahiN saa'ya nahi kaRtey
jo dhuN ho kaR guzaRnay ki
tu phiR soocha nahi kaRtey
kabhi hansanay se dartey haiN
kabhi roo'ya nahi kaRtey
SehaR se poch lo mohsiN
k tum soo'ya nahi kaRtey
~mujhaY kis jurm ki saza mili k meRi rooh taak hai thaki huwimaiN apni jaga se hila nahi meRi saans phiR be ukhaR gaye~
- Jul 31st, 2007, 04:18 PM #9
bichar k mujh se kabhi tu ne ye bhi socha hai
adhura chand bhi kitna udas lagta hai
ye wasl ka lamha hai ise rayegan na samajh
k is k bad wahi duriyon ka sahara hai
kuch aur der na jharta udasiyon ka shajar
kise khabar tere saye main kaun baitha hai
ye rakh-rakhao muhabbat sikha gai us ko
wo ruth kar bhi mujhe muskura k milta hai
main kis tarah tujhe dekhun nazar jhijhakti hai
tera badan hai k ye ainon ka dariya haiThe heart is the only broken instrument that works.
- Jul 31st, 2007, 05:04 PM #10Itani muddat baad miley ho
kin sochon mein gum rahatey ho
tez hava ney mujh se puucha
rait pey kyaa likhtey rahtey ho
kaun see baat hai tum mein aisi
itane achchhe kyun lagate ho
ham se na pucho hijr ke qisse
apani kaho ab tum kaise ho
- Jul 31st, 2007, 05:14 PM #11Member
- Join Date
- Apr 9, 2007
- Posts
- 422
- Jul 31st, 2007, 05:16 PM #12Member
- Join Date
- Apr 9, 2007
- Posts
- 422
- Jul 31st, 2007, 05:22 PM #13Member
- Join Date
- Apr 9, 2007
- Posts
- 422
zikR-e-shab-e-firaaq se vahshat use bhi thi
mahv-e-guftaguu
masruuf. faRaaGat
rafaaqatooN
raqabat
zabt
qayaamat
Would any one kindly expalin the above line and the ensuing words in simple Urdu or in English. Thanks
- Jul 31st, 2007, 10:25 PM #14
ab yeah sochoon tu bhanwar zehan mein par jaatay hain
Kaisay chehray hain jo miltay hee bichar jaatay hain
kiyon tairay dard ko dain tohmat e viraani e dil ?
zalzaloon mein tu bharay shehar ujaar jaatay hain
mousam e zard mein ik dil ko bachaoon kaisay ?
aisee rut mein tu ghantay pair bhi jhar jaatay hain
aab koye kaya mairay qadmoon kay nishaan dhoonday ga
taiz andhi mein tu khaimaay bhi ukhar jaatay hain
shughal e arbaab e hunar poochtay kaya hoo keh ye loug
pathroon mein bhi kabhi aainay jar jaatay hain
sooch ka aaina dhundla hoo tu phir waqat kay saath
chand chehroon kay khud o khaal bigar jaatay hain
shidat e gham mein bhi zinda hoon tu hairat kaisee ?
kuch diyeah tund hawaoon say bhi lar jaatay hain
woh bhi kaya loug hain mohsin jo wafa ke khatir!
khud tarasheeda asooloon pay bhi aar jaatay hain
~BadlooN peR baseRa~
/)/)..(\(\
( ._.).(._. )o(_(')(')..(')(')_)o
- Jul 31st, 2007, 10:27 PM #15
Pathar he sahi, raah mein hayal tu rahoon ga
Kuch dair taira mud'e muqabal tu rahoon ga
Jab tuk tairi bakhshish ka bahram khul nahi jata
Aye mairay sakhee, mein taira sayaal tu rahoon ga
Iss wastay zinda hoon sar maqtal e yaraan
Wabasta e kam zarfi e qatal tu rahoon ga
aye taiz hawa maira dhowaan daikh kay jana
Bujh kar bhi nishaan e rah e manzil tu rahoon ga..!
Dushman he sahi naam tu lay ga maira tu bhi
Youn mein tairi awaaz mein shamil tu rahoon ga
Jab tum mein baghawat na karoon jabar o sitam say
Zindaan mein hoon paband e salasal tu rahoon ga
Mohsin Zad e ada say agar mar bhi gaya mein
Mayaar e tameez e haq o batil tu rahoon ga!
~BadlooN peR baseRa~
/)/)..(\(\
( ._.).(._. )o(_(')(')..(')(')_)o
- Jul 31st, 2007, 10:32 PM #16
Kal Raat Bazam Mein jo Milla Gulbadan Saa Tha
Khushboo Say Uss kay Lafaz Thai Chehra Chaman Sa Tha
Daikha Ussay Tu Bool Paray Uss Kay Khud o Khaal
Poocha Ussay Tu Chup sa raha, Kam Sukhan Sa tha
Tunhaiyoon Kee Rutt Mein Bhi Lag'ta Tha Mut'mayeen
WOh Shakhas Apni Zaat Mein Ik Anjuman Sa Tha
SOocha Ussay Tu Mein Kaiee Rungoon mein Khoo Gaya
Alam Tamaam Uss Kay Haseen Payr'han Saa Tha
Jo Shaakh Shaakh Thee woh Ussi Kay Laboon See Thi
Jo Phool Khil Gaya Tha Woh Ussi Kay Dehan Saa Tha
Woh Sadgi Pehan Kay Bhi Dil Mein Utar Gaya
Uss Ke Har Ik Ada Mein Ajab Bhoolpan Saa Tha
Asaan Samajh Rahay Thai Ussay Shehar e Jaan Kay Loug
Mushkil Tha Iss Qadar Kay Mairay Apnay Fun Sa Tha
wo guftagoo thee uss ke ussi kay liyeah hee thee!
kehnay ko youn tu mein bhi shareek e sukhan saa tha
taray thay chandini meiN k tuhmat kay daagh thay
Mohsin kal asmaan bhi mairay kafaaN sa tha~BadlooN peR baseRa~
/)/)..(\(\
( ._.).(._. )o(_(')(')..(')(')_)o
- Jul 31st, 2007, 10:39 PM #17
shaam e gham jab bikhar gaiee hoo gee
janay kis kis kay ghar gaiee hoo gee ?
itni larzaan na thee chiraagh ke loo
apnay saye say dar gayee hoo gee
chandini ik shab ke mehmaan thee
subah hootay hee mar gayee hoo gee
dair tuk woh khafa rahay mujh say
door tuk yeah khabar gayee hoo gee
aik darya ka rukh badaltay hee
aik nadee phir utar gayee hoo gee
jiss tarhaan woh safar pay nikla tha
saree rounaq udhar gayee hoo gee
raat souraj ko dhoondnay kay liyeah
ta ba hud e sehar gayee hoo gee
mairee yadoon kee dhoop chaoon mein
uss ke sourat nikhar gayee hoo gee
ya taluq na nibh saka uss say
ya tabiyaat hee bhar gayee hoo gee
tairi pal bhar ke dosti mohsin
uss ko bad'naam kar gayee hoo gee
~BadlooN peR baseRa~
/)/)..(\(\
( ._.).(._. )o(_(')(')..(')(')_)o
- Jul 31st, 2007, 10:41 PM #18
Aankh thehray howay paani say bhi katraati hai
Dil woh reh'roo keh samandar kay safar ko tarsay
Mujh ko uss qehat kay mosam say bacha rub e sukhan
Jab koi ehal e hunar, arz e hunar o tarsay
aab kay iss toor musalat howa andhaira har soo
Hijar ke raat mairay deeda e tar ko tarsay
Umar itni tu ataa kar mairay fun ko khaliq...
Maira dushman mairay marnay ke khabar ko tarsay
Uss ko paa kar bhi ussay dhoond rahi hain ankhain
Jaisay paani mein koie seep gohar ko tarsay
na'shana'saye kay mousam ka asar tu daikho!
Aaina khaal o khad e aania gar ko tarsay
Aik dunia hai kay basti hai tairi ankhoon mein
Woh tu hum thay jo tairi ik nazar ko tarsay
Shoor e sur'sar mein jo sar sabaz rahi hai mohsin
Mousam e gul mein wohi shaakh samar ko tarsay~BadlooN peR baseRa~
/)/)..(\(\
( ._.).(._. )o(_(')(')..(')(')_)o
visitors found this page by using these recent terms:
mohsin naqvi poetry,
poetry mohsin naqvi,
poetry by mohsin naqvi,
mohsin naqvi poetry in urdu,
mohsin poetry,
mohsin naqvi,
mohsin naqvi sad poetry,
mohsin naqvi best poetry,
mohsin naqvi urdu poetry,
poetry of mohsin naqvi in urdu,
poetry mohsin naqvi in urdu,
poetry of mohsin naqvi,
mohsin naqvi poetry pics,
urdu poetry by mohsin naqvi,
sad poetry by mohsin naqvi,
urdu poetry mohsin naqvi,
poetry mohsin naqvi best,
poetry in urdu mohsin naqvi,
adio poetry in voice of mohsin naqvi,
mata-e-dard by mohsin naqvi,
poetry in urdu by mohsin naqvi,
mohsin naqvi kalam,
mohsin naqvi picture poetry,
mata e dard mohsin naqvi ka,
poet mohsin naqvi


LinkBack URL
About LinkBacks

Reply With Quote

hangout
rendezvous
society
services
Feb 2nd, 2013, 12:39 AM