Results 1 to 3 of 3
- Mar 15th, 2002, 03:24 AM #1Member
- Join Date
- Feb 24, 2002
- Posts
- 154
Suna Hai Loog Ussay Ankh Bhar Kay Daikhtay Hain
Too Chaloo Uss Kay Shaher Main Kuch Din Thaher Kay Daikhtay Hain
Suna Hai Rabt Hai Uss Koo Kharab Haloon Say
Soo Apnay App Koo Burbaad Kar Kay Daikhtay Hain
Suna Hai Boolay Too Batoon Say Phool Jhurtay Jain
Yeh Baat Hai Too Baat Kar Kay Daikhtay Hain
Suna Uss Kay Shubistann Say Mutasil Hai Bahisht
Makeen Udher Kay Bhee Jalway Idher Kay Daikhtay Hain
Suna Hai Din Main Usat Titlian Satati hain
Raat koo Jugnoo Taher Kay Daikhtay Hain
------------------
Meiji
- Mar 15th, 2002, 10:11 AM #2Member
- Join Date
- Feb 24, 2002
- Posts
- 373
bohat zaberdust nazam hai ahmed faraz ki. mujhey bohat pasand hai. thanks for sharing with us.
- Mar 15th, 2002, 03:58 PM #3Ya Shah Naqshband Imdad Kun!
- Join Date
- Dec 31, 1969
- Posts
- 2,648

great choice but that is not the complete nazm:
Here it is: kaafi taweel nazm hai:
simply beautiful. one of my favourites (kayee baar iss forum pe post ho chukii hai!)Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Ke Dekhtay Hain
Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain
So us ke shahar main kuchh din thahr ke dekhtay hain
Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apnay aap ko barbad karkay dekhtay hain
Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki
So ham bhi us ki gali se guzar kar dekhtay hain
Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf
So ham bhi mojaze apnay hunar ke dekhtay hain
Suna hai bole to baton se phool jharatay hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhtay hain
Suna hai raat use chand takta rehta hai
Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain
Suna hai hashr hain us ki gazal si aankhain
Suna hai us ko hirn dasht bhar ke dekhtay hain
Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhtay hain
Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhtay hain
Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhtay hain
Suna hai us ke labon se gulab jalate hain
So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhtay hain
Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka
Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhtay hain
Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhtay hain
Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
Palang zawaiya us ki kamar ke dekhtay hain
Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain
Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhtay hain
Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhtay hain
Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhtay hain
Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht
Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhtay hain
Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain
Chalay to us ko zamanay thahar ke dekhtay hain
Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhtay hain
Khaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi
Agar woh khwab hai tabir kar ke dekhtay hain
Ab us ke shahar main tharain ki kuch kar jayan
Faraz aao sitaray safr ke dekhtay hain
By: ahmad faraz

visitors found this page by using these recent terms:
suna hai ,
suna hai log usay ankh bhar ke dekhte hain lyrics,
suna hai log usay ankh bhar ke dekhte hain mp3,
suna hai log usay ankh bhar ke dekhte hain mp3 download,
suna hai log usay ankh bhar ke dekhte hain,
suna ha,
suna hai log usay ahmad faraz mp3 download,
suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain lyrics,
http:www.paklinks.comgsintikhaab31964-suna-hai-loog-ussay-ankh-bhar-kay-daikhtay-hain.html,
suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain mp3,
suna hai log usay aankh bhar,
suna hai log ahmad faraz,
ahmed faraj suna hey log,
ahmad faraz ghazal suna hai log use,
suna hai log,
suna hai faraz,
suna hai bole to,
suna hai log usay,
suna hai log usay mp3 download,
ahmed fraz suna he log,
ahmad faraz suna hain log,
ahmad faraz suna hai log,
suna hai log use ahmad faraz,
ahmed faraz suna hai,
suna hai log usay mp3


LinkBack URL
About LinkBacks

Reply With Quote

hangout
rendezvous
society
services
Feb 2nd, 2013, 12:39 AM