|
Woh dil he kya jo teray milney ki Dua na karay,
Main tujh ko bhool k zinda rahun KHUDA na karay,
Rahay ga sath tera pyar zindagi bun kr,
Yeh or baat meri zindagi wafa na karay,
Yeh theek hai nhi mrta koi judai mein,
KHUDA kisi ko kisi se magar juda na karay,
Suna hai usko mohabbat Duaein deti hai,
Jo dil pay chot to khaaye magar gila na karay,
Agar wafa pay bhrosa na rahay duniya ko,
To koi shakhs mohabbat ka hosla na karay,
Zamana dekh chuka hai,parakh chuka hai usay,
QATEEL jan se jaye per iltaja na karay..
*When you find a dream inside your heart,Don't ever
let it go,Because dreams are the seeds from which
beautiful tomorrows grow*
|