Quote:
Originally Posted by IntelliPhant
Unpredictable life events and experiences shape _________
1) The soul
2) The intentions
3) The language
4) Personal Thoughts
Pick what appears most logical , a little explanation would be really appreciated.
|
In my opinion unpredictable life events and experiences shape personal thoughs which changes everything like intension and language to.
Soul I think is un changeable.
Agar aap ki soch hi badal jaay to sub kuch different ho jata hai. Uskay asraat na sirf soul pay intentions pay language pay gharz har aik hamaray amal pay parta hai.
Asal soch hi to hai jo paida ho jaay to insaan bilkul badal jata hai khuwah wo ghalat ho kay sahi.
Jaisay agar meri soach badal jaay kay main nain English seekhna hai (jokay ub tuk naheen huwi) Isi liaay itnay saal yahan rah kar bhi naheen seekha.
Aik baar soch paida ho jaay kay mujhay english seekhna hai to phir main ussay seekhnay ki koshish karoon gi. Agar yay soach paida ho jaay kay jald say jald seekhna hai to jald say jald koshish kar kay har tarha say haath paaon mar kar seekh loon gi.
Ub us soch kay asrat yay hon gay kay uskay liaay mera amal change ho jaay ga rawaiya change ho jaay ga. Jis say seekhna hai ya to khushamad pay utar aaon gi (agar khushamdi pasand hoon to, jo kay main bilkul naheen hoon).
Us kay liaay mahnat kaoon gi. Zuban achchi karoon gi. Language ka istamal karoon gi (yani seekhanay walay ko chikni chapri baton say khush karoon gi, wo bhi main naheen karti)
Meri rooh bhi khush hogi seekhnay ki soorat main.
Mera intension bhi badal jaay ga uskay liaay koshish karna ka aur karnay kay liaay.
Soach hi to asal hai jo sub kuch badal deti hai.
What I do.
Jub mujhay koi takleef (jismani dard kisi bhi qism ka ya zahni takleef) hoti hai to choonkay dimagh say saray jism ka talluq hota hai is liaay dimagh ko kisi aisi soach ki taraf laga leti hoon jis ko yaad kar kay mujhay ya hansi ati hai ya khushi hoti hai ya aisay qurani wird ko khoob par'hanay lugti hoon khaas tor say astaghfar aur Allah say apnay gunahon ki maafi. Aisa karnay say yani soch balnay ya dimagh ko kisi aur taraf laganay say forun main dard khuwah kitni bhi takleef ho rahi hoo bhool jati hoon aur dard ka ahsaas naheen rehti.
Azma kar daikhiaay ga. Insha Allah faida ho ga.
Soach is everything for me.
Soach lain aik baar kay yay karna hai to mushkil say mushkil kaam kar guzrain gay.
Sorry aap nain thora kaha tha main nain kuch ziada hi likh dia.