khushyon ki aek shamma,roshan hoi hay aaj
chhany lagi hay kesi ye bekhudi si aaj
mehki hawaa nay aakr,peghaam kiya sunayaa
nazren bhi meri mujh say,sharma rahi hen aaj
kiya chaand aasmaan say,aayaa tha es zameen par?
har simt chandni si bikhri hoi hay aaj
Aai thhi yaad koi pholon ki reh guzar par
khushbo si ik fazaa men pheli hoi hay aaj
ik shukh sa tasawur har pal hay zehn,o dil par
kiya kiya dikha rahi hay dewaangi ye aaj
kal tak ju ajnabi thhy,mehmaan huy hen dil k
kis rukh pay naaz laai,ye zindagi hay aaj ?
........................
suoz-e-firaaq,yaas-o-alam,iztraab-o-shuoq
kis,kis k meny naaz othaay tamaam raat