Results 1 to 5 of 5
- Mar 25th, 2007, 07:41 PM #1Moderator Pakistan Affairs, Computer & Information Technology
- Join Date
- Sep 30, 2006
- Location
- baghlolpur
- Posts
- 9,292
- Blogs
- 5
Aao bacho sair karaiN tum ko Pakistan ki
Jiss ki khatir hum nay dee qurbani laakhouN jaan ki

Sooch Say Aagay Jana Hai
Har Fard Ko Hoo Zaat Saay Yeh Mulk Muqadam
- Mar 25th, 2007, 09:19 PM #2
Who is that pakistani who composed(got) the tones?. That tone is from a old bollywood song 'aao bacche tumhe sunain...' where 'vande mataram' has been replaced by 'pakistan zindabad'.
http://www.nagarnews.com/indianpatri...he-jagruti.htm
can listen to original here
- Mar 26th, 2007, 03:13 AM #3
I've heard similar song in a wedding.....' aao tum ko sair kraen nadia ke susraal ki '
' aik se aik darinda jis ne chirya ghar ko maat di'.Their greeting on the Day they shall meet Him will be Salam!" (33:44)
- Mar 26th, 2007, 04:23 PM #4Moderator Pakistan Affairs, Computer & Information Technology
- Join Date
- Sep 30, 2006
- Location
- baghlolpur
- Posts
- 9,292
- Blogs
- 5
Original Qaumi Naghma (Audio)
Lyrics
Aao Bachon Sehr, Saleem Raza
Aao Bachchoun sair karayen tum ko Pakistan ki
Jis ki khatir ham ne di qurbani lakhoun jaan ki
Pakistan Zindabad! Pakistan Zindabad!
Aao Bachchoun sair karayen tum ko Pakistan ki
Jis ki khatir ham ne di qurbani lakhoun jaan ki
Pakistan Zindabad! Pakistan Zindabad!
Mashriq men Bangaal sunehra her ek taraf heryaala hay
Yahaan ka patsun sonay or chandi men tulnay wala hay
Sailaboun ne seencha iss ko toofanoun ne pala hay
Yahaan ka bachcha bachcha apni qoum pe mernay wala hay
Yaheen SirajUddolah ne dunya apni qurban ki
Jis ki khatir ham ne di qurbani lakhoun jaan ki
Pakistan Zindabad! Pakistan Zindabad!
Pakistan Zindabad! Pakistan Zindabad!
Daikho yeh hay sindh yahan zalim Dahir ka tola tha
Yaheen Mohammad Bin Qasim Allah ho Akber bola tha
tooti hoi talwaroun men kia bijli thee kia shola tha
gintee kay kuch ghazi they lakhoun ka lashker tola tha
yahaan kay zarray zarray men ab doulat hay emaan ki
Jis ki khatir ham ne di qurbani lakhoun jaan ki
Pakistan Zindabad! Pakistan Zindabad!
Pakistan Zindabad! Pakistan Zindabad!
Yeh apna Panjaab saja hay baray baray darbaroun se
jagadiya Iqbal ne isko azaadi kay naaroun se
iss ke jawanoun ne khela he apnay khoon ke dharoun se
Dushman tharra jaatay hain ab bhee in ki lalkaroun se
door door thak dhaak jami yahaan ke sher jawan ki
Jis ki khatir ham ne di qurbani lakhoun jaan ki
Pakistan Zindabad! Pakistan Zindabad!
Pakistan Zindabad! Pakistan Zindabad!
Yeh ilaaqa sarhad ka he sab ki nirali shaan yahaan
Bandooqoun ki chaoun men bachay howtey hain jawaan yahaan
Thoker men zalzalay yahaan hain mutthee men toofaan yahaan
Sir se kafan baandhey phirta hey daikho her ek Pathaan yahaan
Qoum kahey to abhee laga dain bazi yeh sab jaan ki
Jis ki khatir ham ne di qurbani lakhoun jaan ki
Pakistan Zindabad! Pakistan Zindabad!
Pakistan Zindabad! Pakistan Zindabad!
Aik taraf Khaiber dekho Sarhad ki shaan barhata he
Shere khuda ki quwat ka afsaana yeh duhraata he
Aik taraf Kashmir hamain jannat ki yaad dilaata he
Yeh Ravi or Atak ka pani amrit ko bhee sharmaata he
Piyaaray shaheedoun ka sadqa he doulat Pakistan ki
Jis ki khatir ham ne di qurbani lakhoun jaan ki
Pakistan Zindabad! Pakistan Zindabad!
Pakistan Zindabad! Pakistan Zindabad!
Last edited by Dhoti Main Dhamaka; Mar 26th, 2007 at 04:28 PM.
Sooch Say Aagay Jana Hai
Har Fard Ko Hoo Zaat Saay Yeh Mulk Muqadam
- Mar 26th, 2007, 04:40 PM #5
visitors found this page by using these recent terms:
lyrics of aao bacho sair karain,
aao bacho sair karain lyrics,
aao bacho sair karain funny,
aao bacho sair karain tum ko,
lyrics of aoe bachho sair kariyen tum ko pakistan ki,
pakistan ki ser,
aao bacho sair karain song,
aao bacho sair karain tum ko pakistan ki mp3,
aao bachon sair karain lyric,
aao bacho sair karain lyrics in urdu,
aao bacho sair karain,
aao bacho sair karain tum ko pakistan ki funny lyrics,
aao bachu sair karain lyrics,
aao bachcho tumhe dikhaye ,
aao bacho sair karain tum ko song lyric,
aao bachon ser kraien tumko pakistan ki lyrics,
Ao bacho ser karaon tum ko pakistan ki MP3,
Lyrics ao bacho sair krain tum ko pakistan ki united pakistan,
lyrics of song aao bacho sair karain,
ao bacho sair karaen lyrics,
ao bacho sar karwao tum ko pakistan ki lyrics,
lyrics of aao bacho sair karain,
aao bacho sair karain tum ko pakistan ki lyrics only,
AAO BACHO SAIR karain tum ko pakistan ki lyric,
ao bacho sair karaen tumko pakistan ki funny lyrics


LinkBack URL
About LinkBacks

Reply With Quote

hangout
rendezvous
society
services
Feb 2nd, 2013, 12:39 AM